| meri khamoshiyon me bhi fasaana dhoond leti hai,
badi shaatir hai ye duniya,bahana dhoond leti hai,
haqeeqat zid kiye baithi hai chaknaachoor karne ko,
magar har aankh phir sapna suhana dhoond leti hai,
na chidiya ki kamai hai,na karobar hai koi,
wo kewal hausle se aabodaana dhoond leti hai,
uthati hai khatra jo har qadam pe doob jaane ka,
wo kashti samandar me khazaana dhoond leti hai,
junoon manzil ka,raahon me bachata hai bhatakne se,
meri deewangi apna thikaana dhoond leti hai.... |