Post some Hindi Shayaris..

India
November 11, 2006 7:06am CST
Zindagi jaise ek sazaa si ho gayi hai, gham ke sagar mein kuch is kadar kho gayi hai, tum aajao waapis yeh guzaarish hai meri, shayad mujhe tumhaari aadat si ho gayi hai . _____________________________________________________ Aaj woh humse jannat me takra gayi, Aaj woh humse jannat me takra gayi aur hamare dil se awaaz nikli... teri maa ki, tu idhar bhi aa gayi.. _______________________________________________________ Kadam Kadam pe hawa ki disha ka dhyan rakna, Mushkil samay me bhi dosti ko yaad rakhna, Hamari yaadon ki khushbu zaroor ayegi, Tum bas tumhari NAAK saaf rakhna...
1 person likes this
7 responses
@Sanya106 (59)
• India
18 Dec 06
Dard ka ehsaas janna hai to pyar kar ke dekho , Apni aaknon mein kisi ko utar kar dekho, Chot unko lagegi aansoo tumhe aa jayegen, Yeh ehsaas jan-na ho to dil haar kar dekho ************************************************* Kisi bhi dard ko hadd se GUZARNAY nahi deta, Tumhara pyaar mujhe ab BIKHARNAY nahi deta, Tumhare baad ye dil ZIDDI hogaya hai bohat, Kisi bhi shakhs ko khud mein UTARNAY nahi deta ************************************************* Raat mein khayaalon mein aati ho tum Kabhi saamne aakar bhi dekho Hum se baatein to roz karte ho tum Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho Humaari nazar bohat kuch keh deti hai Kabhi hamein nazaron se samajh kar to dekho Humse dosti ka rishta hai tumhara Kabhi hum say dil laga kar to dekho Humari baton ne tumhaara dil kahi baar behlaya hai Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho Hum tumhein zindagi mein har khushi denge Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho Tumhein paane ke liye har imtihaan denge hum Humein kabhi aazmaa kar to dekho Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana Ek baar hamein apna banaa kar to dekho
• India
25 Dec 06
Tamanna foot nikli hai jab mere chak e gareeban se Unhe bhi ho gayi nafrat mere hall e pareeshan se.
• India
16 Dec 06
Voh Sadak Ke Us Paar Thi Hum Sadak Ke Is Paar The Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein.
• India
16 Dec 06
Wow thatz nice shayari yaar..!! thanks for ur contribution ur shayari a fantastic man...!!
@svijay (92)
• India
11 Nov 06
Dear Shayar, verses are good, but, they are in Urdu, not Hindi. Shayari itself, is a Urdu word
• India
11 Nov 06
lol...! no problem post it what ever u have....!
@_Greeneye_ (1526)
• India
28 Dec 06
Tere duvar par sanam hazaar baar aayenge, tere dvar par sanam hazaar baar aayenge, ganti bajayenge aur bhaag jayenge., -------------------------------------- Har samundar me sahil nahi hota, her zahaz me misal nahi hote, agar dhirubhai ka sapna nahi hota to, her lukkhe ke paas mobile nahi hota. Log kehte hai pyar mein neend nahi aati are koi hamse bhi pyar kar lo hame neend bahut aati hai -------------------------------------- Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka Kal jab rasthe pe ja raha ta to tumko deka aur socha tum garse mat niklo, tum ghar se mat niklo, Agar Nikal gayi to ye bedard zamana kahegi Who let the dogs out...who who who -------------------------------------- kabhi tumne ye socha hay kabhi tumne ye dekha hay k lafzon main k lafzon se tasaadum kaise hota hay tabaahi kaise aati hay wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain dilon main rabt rakhtay hain or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay behnen bayn karti hain pahaarron se jawaan bhai unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain to maayn aasmaan sar pe utthaati hain yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain farishte kaanp jaatay hain yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main ddhalte hain hamaaray din badalte hain to phir ye sochna hoga to phir ye dekhna hoga k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay k ye alfaaz khud andhay nahi hotay ye alfaaz khud zaalim nahi hotay magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain baseerat se diyaanat se sadaaqat se muhabbat se ta'alluq torr lete hain JO Mujhko........ Dil ki gahraiyon se chahe, Usaka mujhe intzar hai. Mere sapno ko sarahe, Usaka mujhe intzar hai. Meri Chahat ko samjhe, Usaka mujhe intzar hai. Meri Shararton mein Ulajhe, Usaka mujhe intzar hai. Mere sapano ki galiyaon main Ghoome, Usaka mujhe intzar hai. Apane khwabon main mujhe dhoondhe, Usaka mujhe intzar hai. Main jisaki manjil hoon, Usaka mujhe intzar hai. Jo mera sahil hai, Usaka mujhe intzar hai. Jise wafa ki pahchan ho, Usaka mujhe intzar hai. Thoda samajhdar,thoda nadan ho, Usaka mujhe intzar hai. Maar hi daal mujhe Chashm-e-Ada se pahle Apni Manzil ko Pohunch jaoon Qaza se pahle Ek Nazar Dekh loon aa jao Qaza se pahle Tum se milne ki Tamanna hai Khuda se pahle Hashr k Roz mai puchunga Khuda se pahle Tu ne Roka nahi kyun Mujh ko Khata se pahle Ae Meri Maut, Thehar Unko Zara ane de Zehar ka Jaam na de Mujh ko Dawa se pahle Hath Pohunche b na the Zulf dota tak "Momin" Hathkari dal di Zalim ne Khata se pahle
• India
16 Dec 06
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath! Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath! Aab hum pyar karenge badi soch ke sath ! Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !
• India
16 Dec 06
Aaj is tarha se uski bhooli hui yaad aayi..... jaise veerane me chupke se bahar aa jaye..... Jaise sahraao me hole se chale vaad e naseem.... Jaise beemar ko be wajha karaar aa jaye. ------------------------------------------ Mere dil ka kaha mano eak kaam kar do... Eak benam se mohabat mere naam kar do... Meri zaat pe fakat itna sa ahsaan kar do.. Ek subha ko milo aur sham kar do.
• India
16 Dec 06
Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main "Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"