Eak Baat Pouchni hai larkiyoon say larkay jawab daina chahain 2 daysaktay hain

@Bittan (455)
Pakistan
December 8, 2006 5:18pm CST
Eak cheez hai meray dil main eak sawaal hai jo main ap logoon say poochna share karna chahta hoon. Kay meray ghar kay samnay bilkut samnay hamary eak paarosii hain un ka eak beta hai aur three betiyaan hain. hamar un ka saath sirf 5 saloon(years) say hai.woh loag baray hi larai jhagra karnay walay loag hain hamaray ghar say un ka fasla itna hai kay aar main apnay ghar say 6 ya 7 qadam chaloon to un kay ghar main dakil ho sakta hooon.Hamari un say bohat achi banti hai puray area main woh bhi meri wajah say kyoon ki un ka beta thora abnormal hai aur main un kay ghar kay kaam kardayta hoon un ki batiyaan mature hai 2 under gradutae hain eak nain Bsc kiya hai.mera un kay ghar aur un ka hamary ghar ana jana aisa tha kay samgho ghar ki baat ho.main computer main bhi un ki help kardiya karta tha un kay ghar computer nahin tha isi liya woh meray ghar main aattoo thin kabhi koi topic discuss karliyah kabhi kabhi net say search kar liyahh assignment bana daita tha main un kay.Darassal woh loag thoray ghareeb hain.Khair hamaray area main jo meray dost hain aur dusray area kay loag un ko koi koi aisa moqa chahiyah hota hai yah aisi koi baat kay dusray un kay yah puray area kay samnay zaleel hoon yah unhain black mail kiya jaeh.Kuch dost meray as usual dusray bhi meray parosiyoon ko buri nazar say daiktay thay (u know how boys are)khair logoon nain mera mazaq urana shuru kar diyah kay main un ko computer kay bahanay (sorry to say)set kar raha hoon yah apna chance mar raha hoon magar God knows main nain aisa kabhi nahin socha jab bhi main apnay dostoon main baithta to meray parosiyoon ka zikar zaroor chirta.aur mugha zabardasti is story main ghanseet diyah jata aur kahtay kay mera un kay saath koi chakar hai main bohat parayshaan ho ja ta hoon.khair ahista eak say dusray dusray say tesray nain baat phaila di kay mera koi setup hain un 3noon ka saath kyoon kay woh mughay hi lift karati theen sirf kaam kay liyah aur dusrooon ko nahin.eak din main nain socha kay main kya karoon yah loag to badnaam karnay par tulay huway hain muhalay kay dost kahan jaoon kya karoon.Main ek wahid banda hoon apnay area main kay jisay loag zaleel karnay kay bahany yah black mail karnay ka soach tay hain main kya karooon.akhir mainay un ka kya bigara hai. Akhir kaar mainay apni parosioon sa peecha churanay ka socha aur main nain socha kay agar main un say douuuur rahoon ga to loag mazaq nahin urayeen gay aur tarha tarha ki batain nahin karaingay.Kyun ki main hu karka main sab kuch bardasht kar sakta hoon magar kisi (female)ki bayizatiii nahin bardasht kar sakta ahista ahista main nain kinara kashi karni shuru kar di aur un kay kaam karna bhi choar diyah jab bhi kabhi woh koi kaam lainay assignment banwanain aateen main mana karday ta yah un ko koi bahan kar day ta ahista ahista mainain un say side pakar li aur compound waloon ko jata na shuru kar diya kay yah looag matlabi hain apna kaam karwatay hain aur bhool jatay hain bas waqt par hi main in kay kaam ata hoon aur yah meray paroosi kaam nahin aatay.Aur yah baath Kuch haad tak theek bhi hai kay woh matlabi hain.Khair is baat ko 4 yah 5 mahinay ho gayeh hain mainay apnay parosiyoon say baat kar na khatam kar di hai aur unhoon nain bhi mugh say baat karna khatam kar di hai ab pura ilaqay main sab par wazay hai kay main un sab ko pasand nahin karta meray dostoon nain bhi mazaq urna khatam kardiyah hai meray samnay un ki koi baat nahin karta agar koi kar bhi day to main unhain ghusay main mana kardayta hoon kay matlabiyyon ki baat mat karo mughay wo zahar lagtay hain .sab nain mughay apnay mazaq main shamil karna choar diyah hai. Ab is baat ko 2 saal guzar gayah hain aur indo saaloon main aisa nahin hai kay meray parosiyoon say bilkul hi qata taluq kar liyah ho baat cheeeat haimagar us tarha nahin jistarha pahlay ho ti thi. Abb jab bhi main ghar say nikalta hoon agar un teen behnoon main say koi bhi bahar darwazay main hara ho mughay daiktay hi mera muu.n par zoor say darwaza band kar daytee hai jab bhi main samnay aata hooon yah kabhi bazaar main samna ho ja ta hai to bohat ghooor ghooor kay daikhtee hai jaisay mainay kuch pahna hi nahin.aksar kabhi bus stop par bhi yahi alaam rahta hai bus choar kar 3 teeno bahnooon main say koi bhi khara ho o mughay daiktee hi reht ihain aur jab main un ki taraf daikhta hooon to woh apni ankhain kahin aur kar laiti hain.jab kabhi ghar par kuch lainay aati hain maslan allu pyaaz adrak lussson kuch bhi main samnain aata hoon to chaunk(shock)ho jati hain jab bhi kabhi main area maiin khailta hoon to nazrain mugh par hi rehti hain halankay itnay saal guzar gaeh hain woh meriami kay saath bhi aisa karti hain kehnay ko o muuu.n pay bohat sahi banayngii magar dil main kya hai pata nahin.Eak baar jab main ghar main seeriyooon pay say aa raha tha dopahar ka time tha kay mainay daikha ka 3 bahnoon main say darmiyaan wali hamaray ghar kay darwazay main jo hole hota hai us main say hamaray ghar main jhaan rahi hai darwaza band tha hamara halankay woh university say ayee thi magar woh hamary ghar main kyooon jhank rahi thi khair main sab chup kay daikh raha tha phir mainai thori si awaz nikal li apnain kadmooon ki to wohpeechay apnay darwazay ki taraf fauraaan chali gayee isi tarha in ki bari behan nain bhi yahi kiya tha.Pata nahin hamaray ghar main kya jhhnkti hain ander kaun hai kis ko talash karti hain.Khair agar is baray main likhnay baithoonn to bohat time nikal jayega ab masla yah hai kay woh teeno larkiyan un kiammi samaith kya jhankti hain hamaray ghar main jab kay mughay daikh kay meray muu.n pay darwaza itni doaaar say band karti hain mera khoon khoal uth ta hai.aur aksar mainain unhain sirf hamar ghar main jhanktay huway daikha hai aisa kyooon karti hain woh...akhir kya wajah hai is ki?????? AP LOAG KYA KAHTAY HAIN IS BARAY MAIN BAQI KAHANI BAAD MAIN ABHI BOHAT LANBI HO GAYE HAI....................... Ap LOAGOON KA KYA KHAYA HAI IS BARAY MAIN ANY SUGESSIONS AND ANNY COMMENTS?????????
2 responses
@soFh123 (355)
• Pakistan
10 Dec 06
hmm...well well well. First of all i think you did some mistake,If you along with all of them were being famous(in -ve) in your area,Then solution wasn't to simply say them bad in front of your friends,neither to hurt them by simply ignoring them. First of all in such matter,nobody can harm a boy's reputation atleast in our society.So the rumors being spread were against those three girls not you.As you told they are not a rich family,And all of three girls are in age to get married so it was effecting their reputation very badly. If you wanted to get yourself safe as well as all of them,you must simply ask them that in whole area people are talking like this(which is so common in our country) so we must keep a distance cause excess of everything is bad. And about your friends,you can strictly tell them not to say a single bad or -ve word about them or about you. And then just keep a visible distance,don't need to tell everybody that they are bad and meaningful so you left them? i mean it doesn't make a sense to me at least. When you trust yourself ,then you don't need to give any sort of excuses to anybody,but if you are doubtful then i can't say anything perhaps. Now in this condition,when u want to keep a distance ,and you already ignored them a lot,you must not worry about their door closing or opening.Simply ignore them. while standing on bus stop,or at your home,just behave as you don't have any concern with them,I think this will help you,even if they are angry with you , or anything else even,they will simply understand that you don't care about'em anymore and they will change their thinking. Question was from Girls specialy :P but what i think i told you :)
@Bittan (455)
• Pakistan
10 Dec 06
Dear u didnt understand what i m talking about.I always ignore them but????? Woh teeno meray ghar main jhanktee hain un ki ammi bhi chup chup kay jab hamara darwaza band hota hai mainay kitni baar daikha hai magar un kay muun pay kya kahooon himat nahin hoti.mainay apnay area main sab ko bar bar samghaya magar jis area main may rehta hoon waha kisi ko koi baat say mana karo to woh wohi kaam zayada kartay hain.Mughay aur koi rasta nazar nahin ayah isi liya main un say doouur ho gayah raha sawal un kay darwaza band karnay ka to main agar ghar main dakil ho raha ho ta hoon to woh pahlay say apnay ghar kay darwazay par aa kar kharee ho jati hain teeno main say koi bhi aur jab main andar janay lagta hoon to baaannnngggg dharam say darwaza band.Un ki ammi aksar hamary ghar aati hain magar kaam say basically mainay bhi yahi realize kiyah hai kay woh matlabi hain jab koi kaam hota hai aati hain kuch arsa pahlay main bohat beemar tha at least 6 mahinay main hospital main tha unhon nain meri khabar tak nahin li yah jab ki baat hai un say mainay baat cheet khatam nahin ki thi.jab kay un kay abbu hospital main thay tu maiin eak hafta hospital main tha. khair kahany ko bohat kuch hai laikin time ijazat nahin day raha baqi batain baad main agar un kay baray main likhany baithoon ga to mahinay lag jayen gay. Thanks for reading such a long story of mine I want to see u what do u wanna say about that.............. I think u understand what do i wanna say?????Ab koi is issue par mugh say baat nahin karta na mughay shamil karta hai apni discussion main.rastay main jab kabhi teeno main say koi bhi milti hai main apna dayhaan kahin aur lay jata hooon do yah teen baar aisa huwa kay unhoon nain mughay rah chaltay huway apna shoulder mara jab main market ja raha tha gali main koi nahin tha main nain notice nahin kiyah is baat ka jab 2 yah 3 baar huwi yah baat then i realize. what do u wanna say???? I Hope to Know ur sugessions questions TAKE CARE :) By....................
@Bittan (455)
• Pakistan
11 Dec 06
My mom also know about there tankna and jhankna once ammi nain aunty say baat bhi ki thi is baray main unhoon nain bahana kiyah kay itni dair say darwaza khatkhata rahi thi koi khoal nahn raha tha halankay hamary haan aisa nahin hota jab bhi koi darwazay pay ata hai to dusary khakay say pahlay hi darwaza khul jata hai.meri ammi bhi yahi kahti hain just ignore them.aur main bhi yahi karta hoon but you know girls woh chahti hain kay man attract ho jaoooon un ki taraf.ajeeb harkatin hain main yaha kaisay bataoooon samagh nahin aaraha.khulay alfazooon main bata bhi to nahin sakta na yahan. Have a nice day TC ..................................... ..............
@soFh123 (355)
• Pakistan
11 Dec 06
Dude,I understand it already,and still i will say don't give them any importance.Baaqi rahi ghar mein jhankney wali baat tau don't mess with your mind ,Simple ask your mother that you saw them many times doing this ,and let her talk to their mom . This is the legal way. And i am sure if your mother will ask to their mother,Even if their mother is doing all those tanking jhanking,They will feel shame on it and will not do such things again. And you just enjoy your life,They should not mean anything to you,Don't panic either they care for you or not,Cause they dont mean anything to you. Just enjoy with your work,Study family and friend.I am sure then they will not bother you anymore or if still something is happening go directly to their Father. Thats it.
@Idlewild (6090)
• United States
8 Dec 06
"ANY SUGESSIONS AND ANNY COMMENTS?????????" I'm speechless. I made out the words "God," "topic discuss," and "female," otherwise I have no idea what this says. What is it, Hindi? Tamil?
@Bittan (455)
• Pakistan
9 Dec 06
Its In urdu And sorry for the language dear.And by the way thanks 4 understanding three or four words lolz........... Thanks i will tell u in english some times later sorry 4 the language again.